Karachi.Goro mander ka kareb fairing 2 aftad zakhmi.9:45 P.M PST

Monday, 12 October 2015

"AGAR JINNAH UNIVERSITY NEWYORK MAI HOTI" .....!!!

       


                                   Jinnah University jo kai khawaten ki wahid university hai.jahan waaldain apne bachon ko bhej kar be fikar hojate hain q kai aj kl ird gird k mahol ko daikhte hue hr waldain ki khuwaish yahi hai k unki betiyan mehfooz rahain r aise mahol m taleem hasil krain jahan unki janain or izatain mehfoos rahain ...khair ye to hogae Jinnah University ki baat .agar hum tasawur krain kai jinnah university newyork mai hoti tu ye sirf khawaten ki university nae hoti balkai taalba r talib-e-ilm dono sath university m parhte.university m anay r jane ka koi quaid-e-kawaneen nae hota or markazi darwaze par wehshatnaak guards tainaat nae hote jo kha jane wali nazron se daikhte jinko daikh kar bache khof zada hojate.apne har shauq ko pora krne ki ijazat hoti students class m jane k bajaye canteen m waqt guzara krte r khob shugal bazi ka mahool
hota.hr student taza hawa m sans laine ka aadi hota .students jo sawal pochna chahte apne teachers se poch sakte .teachers ko students par tashadud krne par jail ki hawa khani parhti ;-) .university me school kai bachon ki tarhan uniform pehanna na parhta larkiyan mini skirt r pent shirt pehna karti.larky r larkiyan bari khush islobi se "Valentine Day"manaya krtay r ye
jashan raat gaye tak chalta ;-).imtehano kay hone par koi student zehni dabao ka shikar na hota.kam haazri par imtehan m bethne ki ijazat hoti.students ko apni marzi k jawab likhne ki ijazat hoti r jawabaat ki lambaii r choraaii ko mad-e- nazar rakhte huwe numbers nae diye jate  .teachers ko jo students pasand hote sirf unki taraf daari nae krte balkai hr student k sath yaksaan suluk kia jata,students ko kitabi taleem daine k sath sath amli kaam bhi karwaya jata
takay students ki hichkichahat khatam ho sakay .students ko itna qabil bnaya jata k khud bari bari companies inse khud rabta krten r jinnah university dunya ki number 1university k naam
se jani jati... :-)

SHEEZA PARVAIZ

No comments:

Post a Comment