Karachi.Goro mander ka kareb fairing 2 aftad zakhmi.9:45 P.M PST

Wednesday, 18 November 2015

Fashion And Style.

Lights Camera Action... Beauty Of life Fashion And style...reflects our craziness in Colors. Fashion is what we wear, what others observe from us. Its not just copying but to make a difference for the seekers. Fashion could be of any type , formal wear ,party wear, daily wear or bridal wear these are the requirements that a girl would need for wearing it. Fashion is not just wearing heavy and expensive clothes but how we as a person makes that heavy clothes different by wearing it.. A person wearing less price clothes but she is portraying herself in a high standard manner.This makes a difference of fashion. 
               A girl who covers her head and has to attend a wedding, she will cover her head as she is used to of it and I am sure none will force her to remove the scarf.. Wearing a heavy dress with a scarf made her fashion style different from others. Fashion is not dressing but the whole posture counts a lot. From Head to Toe What Ever you are wearing is Fashion.The hair style you have made  ,the jewelry you are wearing, the shoes you want,the color combination your dress has and a lot more is called Fashion. We usually observe from other countries about fashion and that's our most common mistake which should be avoided..Instead, we must introduce new things in market so that people could learn from it. Fashion should be passion of a person so that people could enjoy and make others happy with their efforts and work related to it.  
By:Ayesha Anwer
Moashra Or Aj Ki Aurat!!!!


Dunya mai agar hm sab se khobsurat or maqbool rishte ki misaal dain  tu hum bila jijhak us hasti ka naam lengy jo aik azeem shaqsiyat ki malik hai or is dunya m isko bhot se
naamo se jana jata hai wo kbhi maa bunkar,kbhi beti bunkar or kbhi behan bunkar hmare samne aye jisko hmare mazhab e islam ne izzat o ahtaram ka darja diya.Islam hi wo wahid mazhab hai jisne auraton kai huqoq ka sabse zyada khayal rakha hai hr kism ki zyadti or kotahi ko khatam krdia hai.Tamam ahkaam ki trah aurat kai hukum mai bhi ahtadaal ko apnaya hai. na to bilkl azaad or na qaidi bulkai isay poray hukuq o ahtaram k sath dunya m rehne ka hukum dia,Allah ne "Maa kai paon k neche jannat rakhi hai",betiyun ko Allah ki rehmat karar dia hai or aik behan ka darja Maa k baraber rakha hai.Agar hm in baton par gor karain tu ye saari batain sirf hmare bolne ki had tak hain? ya asal zindagi m bhi is
baat ka koi amal dakhal hai?agar hm aj kl kai is mojoda dor ki baat krain tu larkiyun ki taleem ko aam krdia hai or bhot se tabke aise hain jahan larkiyun k liye taleem ka shaor bedaar horaha hai or bhot se anparh tabke aise hain jahan is baat ki zarort samjhi jarahi hai k larkiyun ko bhi taleem hasil krni chaiye magar jb aik larki apni taleem mukamal krke degree laikar apne ghar se mulazmat k liye nikalti hai tu hmara moashra kyun is larki ko acha nahi samjhta?Is larki ko kyun wehshat bhari nazron se daikh jata hai?or jab wo apn mehnat se kise baray ohday par faiz hojate hai tu kyun iske peet peche gair ikhlaqiii batain ki jati hain?Iswqt kyun is makbool rishte ko bhol jate hain?kyun log apne ghr ki maa betiyun kai uper rakh kar nae sochte?kya aurat hona is dunya m gunah hai?ya hmara moashra ab tak is purane dor k reati revaaj kai sath chal raha hai??agar hm purane dor ka
mojoda dor se mawazna karain tu farq sirf itna hai k us dor mai larkiyun ko paida hote hi jala dia diya jata tha or aj kl larkiyun ki izaton ko ruswa kia jaraha hai jiska koi pochne wala nahi hai.aaj bhi log dusron k samne apni betiyun,behnon ki khobiyan batatai huwe sharam mehsus krte hain.Agar hum is baat par gor karain tu aj bhi hmare aabao- ajdaad aj bhi is baat ko tasleem krte huwe apni touheen samjhte hain or shayad apne mou se is baat ko kehte wqt bhi darte hain, kai wo aik aurat hi hai jiske dum se ghar m ronaq hoti hai jo ghr ko sambhalna ba khobi jante hai iske ilawa wo kbhi maa bunkar,kbhi beti bunkar ,kbhi b.v bunkar r kbhi behan bunkar apne se musalik tamam logo ko apni aagosh mai lailaite hai or is baat ka khayal rakhti hai kai iska koi rishta kaanch kai tukron ki tarah toot kar bikhar na jae..jab aik auraat apne ghr walon k liye itne qurbaniyan daiti hai tu kya isko aik aazaad
zindagi jeene ka bhi haq nae hai?kya isko taaza hawa mai sans laine ki tammana nahi hosakti ?kya ainda any wale har dor mai aurat par isi tarhan ki hukumraani ki jaegi jaise ab tak hota aya hai?????

SHEEZA PARVAIZ.........!!!!!!!!!!!.
ANAAR(POMEGRANATE) OR ISKI AFADIYAT!!!!


Bhot se log anaar ko phalun ka baadshah kehte hain or iska saboot ye pesh krte hain kai iske sur par taaj hota hai.daika jae tu anaar dunya kai kadeem tareen palun mai shumaar kia jata hai.anaar aik kaseer-ul-munafa phal hai.Is mai khamyaat,chicknai,carbohydrate,potassium,calcium, magnisium,tanbaa,lohaa,sulphur,phosphorus,mukhtalif vitamins or khususan vitamin c bari miqdaar mai paya jata hai.zaiqey kai lehaaz se iski teen aksaam hain.anaar-e-sheeren,anaar -e-tarsh,anaar-e-manjosh or ye teeno gizaai khusiyaat rakhti hain.anaar dil o dimaag ko farhat bakshta hai.kilat e khoon dor krne ka ye aik behtareen zarya hai.anaar ko khane se mukhtalif bemariyan dor hojate hain maslan:malaria,dengue,bukhar or khoon kai sartaan jaise marzon kai liye akseer hai.khatte anaar ka ras mou kai zakhmon kailiye faide
mand hai .jalan or seene ki sozish mai bhi mufeed hai.anaar kudrat ka shandaar tohfaa hai.iski darakhat ki chaal,phool,phal ka chilka or yahan tak kai patiyan bhi mufeed hain.anaar kai surkh meete daane khane mai jitne mazedaar hote hain uska juice usse bhi zyada mazedaar hota hai,jadeed tareen tehkeeq ye batati hai kai anaar ka juice hmain heart attack, heat stroke se mehfoz rakhta hai or diabetes patients kai liye bhi boht faide mand saabit hota hai.anaar aik wahid phal hai jo sadiyun se artwork mai bhi
istamaal hota aya hai jaise "Madonna of the pomegranate"jisko aik italian mashor painter ne (ca.148) mai bnaya iske ilawa "Bouquereau's girl with a pomegranate"jisko aik french painter ne1875 mai bnaya tha....!!!

        SHEEZA PARVAIZ...!!!!!!

Far From Homeland

                A day to stay at home alone..to be yourself in your room,to eat as you like, to cook what you want..The Day Was Sunday..In United Kingdom...Studying in UK alone is a tough time but taught a lot of moves that life has. The time was running very fast and its third year in Aboard. 
           To get something  we have to sacrifice and that what life wants. Its really hard to live life without family..As if it's Men or a Women its tough. Going out for shopping ,traveling alone, smiling alone, crying alone needs a very big heart to survive with. People think Girls that are studying alone do something that makes their parents shameful. But they don't know how to live life by our self only. Getting reliable to your parents makes some problem..we have to get a job to zip others and peoples mouth forever. My Future, My Life, is very important as others give importance to something for sake. The key to the future should be meaningful for our mental and physical strength Life gives a chance to get success and fulfill goals but its in our hands that how well we make our goals to final level. Its not easy but its not difficult also..So the spirit of working hard should be in your veins so that life gets simpler and better for Future.  

Upcoming GENERATION A Model Of Technology

        Early Days of life.... Full Of Life and meaningful life...Communicating was not easy but people do connect with their loved ones through letters . Respect and importance of people was important for everyone. A child opens his eyes in this world and he starts to play with toys. 
       21 century, the upcoming world of traditional and disruptive technologies that are bringing people and governance in IT departments. The modern technology has left behind the loved ones and the family so where back. Time is the most difficult  thing to get from someone....Life is going fast with new technologies and terminologies...Our Youth usually  will be seen at Internet, Social Media, Films And Dramas. The only work left for spending life is Social Media...it do give us information regarding politicians or any other interesting news but everything should be in limit as the limits are crossed the people get into a big loss...that type of loss which you can't imagine in their life. If we talk about A school going child..the schools are now teaching at the projectors and tablets... the use of white chalk has been vanished some where. A child has to use that tablet as he has seen at school because children observe things quicker. My opinion at this point is that we should divide things and time into different groups so that people and technology should be equal in our life's.
By:Ayesha Anwer

Life That Labels Dreams

      Dreams are the most innocent perception of our life but some dreams give us many barriers in our real path too. To be good to others gives a nice feed back and negative impact receives rudeness of people. Having different mind sets, selective nature and modern life style shows the worlds reality. The Creator of this World has clearly defined the rules of spending life in a
good manner. 
The humans should have the ability to judge the people and their minds..it is true That You Can Not Judge A Book By Its Cover But its easy to judge peoples real and fake expressions. To be aware of  something makes the mistakes impossible.    Its basically a social awareness from peoples reaction. A person having different mood can be caught easily but as far as those people are concerned who don't show off their feelings its hard to judge. Group of ideas reacting in positive and negative way portray themselves in a trendy manner. Best way to react as it is said Think Positive And Be Positive..Life gets easy when everything is in positive way.

By Ayesha Anwer
GADA GARI

Kisi se kuch mangna aur is k badlay mein koi kaam na kerna ya leker wapis na kerna bheek mangna ya gada gari kehlata hai. Pehlay zamanay mein gada gari majboor hoker ki jati thi. Koi apahich hota ya bilkul beqaar hota ya koi asa zaroorat mand hota jis ki zaroort apni mash se puri na hosaqti ya jiska koi mashi wasila na hota tou majboor hoker bheek mangta magar ajkal bheek mangnay k bohat se tareqy ijaad hogae hai. Koi ilteja ker k mangta hai, koi faryaad ker k mangta hai, koi gana ga ker mangta hai, koi saaj ya baja bajaker mangta phirta hai, koi sarangi bajaker mangta phirta hai, koi jaali apahich banjata hai, koi beyar-o-madagaar musafir ban ker mangta phirta hai, aur koi apnay mali nuqsaan ka bahana bana ker mangta hai. In mein zayada se zayada panch feesad loog asy hotay hain jo waqi haqdaar hotay hain jinhoon nay gada gari ko khandani toor per apnaya hua hai aur bohat se logoon nay isey batoor karobaar apnaya hua hai kyo k jab insaan apni gheraat ko kherbaad kehdeta hai tou usey mangnay mein koi aar kehsoos nahin hoti.


Ajkal loog itnay chalak aur hoshyaar hogae hain k unhoon nay gada gari k liye ajeeb ajeeb kisam k tareeqay apnaye hotay hain. Kae admi achay bhaly hotay hain magar zahiri taur per andhey bany hue hotay hain. Kae loog apnay app per masnooe rasha tari kerlety hain taqe loog in per tars kha ker inhein zayada se zayada pasy dein. Is k ilawa kae log masjid ya dini madarsa ka bahana banaker mangtay phirtay hain aur islam aur mazhab ka wasta deker logon se pasy batoortey phirty hain. Ye log karobari zehn se mangtay hain. Logon ko ayaat-o-hadees suna suna ker bhi pasy denay k liye inhein tayar kerlety hain. Khas tour per khawateen insey bohat jald mutasir hojati hain. Asy log bhi dekhe gae hain jo gharon mein bazahir faqeer k taur per dakhil hotay hain aur phir asy alfaaz aur jumly alpny lagjatay hain jinse wo both bary buzurg ya najoomi maloon honay lagtay hain. Is tarha wo sada loh aurtoon ko loot letay hain aur unhein bohat nuksaan pohancha detay hain. Is kisam k loog gada gari bhi kerty hain aur choori aur thagi bhi kertay hain. Is kisam k loog bohat hi khatar naaq aur jaraem pasha hotay hain. Asy log apni gharz k liye buzurgany deen aur aoliya allah ki aar leker mangtay phirtay hain.

AQSA IQBAL