GADA GARI
Kisi se kuch mangna aur is k badlay
mein koi kaam na kerna ya leker wapis na kerna bheek mangna ya gada gari
kehlata hai. Pehlay zamanay mein gada gari majboor hoker ki jati thi. Koi
apahich hota ya bilkul beqaar hota ya koi asa zaroorat mand hota jis ki zaroort
apni mash se puri na hosaqti ya jiska koi mashi wasila na hota tou majboor
hoker bheek mangta magar ajkal bheek mangnay k bohat se tareqy ijaad hogae hai.
Koi ilteja ker k mangta hai, koi faryaad ker k mangta hai, koi gana ga ker
mangta hai, koi saaj ya baja bajaker mangta phirta hai, koi sarangi bajaker
mangta phirta hai, koi jaali apahich banjata hai, koi beyar-o-madagaar musafir
ban ker mangta phirta hai, aur koi apnay mali nuqsaan ka bahana bana ker mangta
hai. In mein zayada se zayada panch feesad loog asy hotay hain jo waqi haqdaar
hotay hain jinhoon nay gada gari ko khandani toor per apnaya hua hai aur bohat
se logoon nay isey batoor karobaar apnaya hua hai kyo k jab insaan apni gheraat
ko kherbaad kehdeta hai tou usey mangnay mein koi aar kehsoos nahin hoti.
Ajkal loog itnay chalak aur hoshyaar
hogae hain k unhoon nay gada gari k liye ajeeb ajeeb kisam k tareeqay apnaye
hotay hain. Kae admi achay bhaly hotay hain magar zahiri taur per andhey bany
hue hotay hain. Kae loog apnay app per masnooe rasha tari kerlety hain taqe
loog in per tars kha ker inhein zayada se zayada pasy dein. Is k ilawa kae log
masjid ya dini madarsa ka bahana banaker mangtay phirtay hain aur islam aur
mazhab ka wasta deker logon se pasy batoortey phirty hain. Ye log karobari zehn
se mangtay hain. Logon ko ayaat-o-hadees suna suna ker bhi pasy denay k liye
inhein tayar kerlety hain. Khas tour per khawateen insey bohat jald mutasir
hojati hain. Asy log bhi dekhe gae hain jo gharon mein bazahir faqeer k taur
per dakhil hotay hain aur phir asy alfaaz aur jumly alpny lagjatay hain jinse
wo both bary buzurg ya najoomi maloon honay lagtay hain. Is tarha wo sada loh
aurtoon ko loot letay hain aur unhein bohat nuksaan pohancha detay hain. Is
kisam k loog gada gari bhi kerty hain aur choori aur thagi bhi kertay hain. Is
kisam k loog bohat hi khatar naaq aur jaraem pasha hotay hain. Asy log apni
gharz k liye buzurgany deen aur aoliya allah ki aar leker mangtay phirtay hain.
AQSA IQBAL
No comments:
Post a Comment