"Apex court ka faisla or
mobile companion k liay karobaar k naey mawakay.."
Pakistan ki idalat-e-uzma
nay CMPak(Zong)k haq may faisla day dia jis k bais telecom network k karobaar
may naey sarmayakari aanay k imkanat roshan ho gaey hain faislay k
mutabik koi bhee
shakhs ab aik cnic par 8 sims register karwa sakta hy jis may say 5 sims phone
call k liay jab k 3 sims data k liay istamal ki ja sakain gii faislay say pahle aik nic par 5 say zaid sims ka ijra mana tha
jis k sabab is shobay may naey sarmayakaar aanay say hichkichat ka shikaar thay
taham is k khilaaf CMPak(Zong) juarrat mandana kadam latay huay nay idalat say
rujoo kia or aala idalat nay in ki darkhawast ko durust manty huay 8 sims ki
ijazat dai di science technology k dor
may aisay faslay say awam ki maloomat tak fori rasai mumkin ho sakay gi or
information technology k is dor may maloomat tak aasan rasai kamyabi ki kunji
sabit hosakti hy or is may koi shak nahi k iktisadi sargarmion ko idalat is
faislay say barhtari milay gi naey frenchise kai kayam amal may aey
ga aor
rozgaar k mawakay paida hon gay jo hamari majmui iktisadi halat ki bahtri k
liay soodmand hongay ya hamari baka or
tarakki k liay nihayat aham hay lakin is k sath sath hamari zimadari bhee kai
guna barh gai hay maloomat k galat istimaal ka khatra bhee ab pahlay say ziada
ho gaya hay aisay may hamari salamti ko shadeed khatraat lahak ho sakty hain
chunacha zaroorat is amar ki hay k hukoomat bio
matric shanakht jasay mutadid ikdamat karay takay iktasadi
tarakki k sath mulk ki salamti ko bhee
yakeeni banaya ja sakay or awam ka ya farz banta hay k wo aisay ikdamat par tankeed
karny k bajaey in ki ahmiat or zarurat ko samajhhty huay in par amal daraamad
kar k hukoomat ko support karain aor apni komi zimmadari ada kar k faraz shanas shahri hony ka saboot dain.jo komain
apnay faraiz ki adaigi may pas o paish karti hain un ka naam tak dunia may baki
nahi rahta lahaza ab ya faisla karna hamary ikhtiar may hay k hm tarakki chahty
hain ya baka ya phir baka k sath taraki ??
SHEEZA PARVAIZ....!!!!!!
No comments:
Post a Comment