"Sheesha baar or hamari nojawan nasal.."
Guzishta dino mukhtakif ilakon may kaim aisay hotalon or
restoraan k khilaaf chapa maar karwai ki gai jahan hamari nasal ki tabahi ka bais bannay
wala hukka jissay ab sheesha k naam say bhee jana jata hy bakasrat or ba aasani
dastyaab tha. hukumati idaron nay kabil e tahseen kadam uthaya or barwakt
karwai kartay huay kuch zimmadaar afrad ko hirasat may lay lia aisay ikdamat ko
jald lana chahiya tha lakin phir bhee dair aey durust aey k masdaak ya aik acha
kadam tha taham zaroorat is amar ki hay k ab aisay intizamat kiay jain k jin
say hamari nai nasal ko ainda aisi buraion say bacha kar apnay mustakbil ko
mahfooz kia ja saky.isi k sath hamay un wajuhaat par bhee tawajjo dani chahiya
k jo nojawano ko is galat raastay par lay jany ki zimmadar hain.jab tak ham un
bunyadi masail ko hal nahi kar laity tab tak bay rah ravi ka raasta band nahi
ho sakta.maslan muasharti nahamwarion nay tarha tarha k masail ko
janam dia hay
isi tarha aaj kal media ka barhta hua asar nai nasal ko glamour ki dunia ki
taraf khanchta hy or wo khud ko kisi film ka hero samjhty huay hakiki dunia say
door hotay chaly jarahy hain.un ki batain afsanwi or khawaishat gair hakiki ho
chuki hain masail ka saamna karny or un ko hal karny ki koshish k bajaey wo rahay
farar ikhtayar karny lagay hn.is k ilawa walidain ki gaflat bhee asay masail ka
bais hy k jo jawano ko galat rah par lay janay ka mojab ban rahi hay. ham
jantay hain k insaan aik samaji janwar
hay isay
tanha rahna kbhi bhee pasand nahi raha lahaza tanhai k shikaar nojawan
amooman aisi sargarmion may jaldi mulawwis hojaty hn jo ikhlaki girawat ka
sabab hoti hn or jab baat agay barhti hy to yahi sargarmian unhay jurm ki dunia
may lay jati hain k jahan say wapsi kay raastay mahdood hotay chaly jatay hain.hukumat
k sath sath ba haisiat e zimmadar shahri k ham sab ka ya farz banta hay kay jab bhee jahan bhee aisi koi
kharabi dakhain foran us kay sad e baab k liay koshish karain apni community ya
muhally k logon ko sath mila kar marboot andaaz may us ka hal talash karny ki
koshish karain jahan tak mumkin ho sakay apni madad aap k tahat kaam karny
ki
koshish karain or jahan hukumti idaron ki madad ki zarurat ho un say madad
hasil ki jaey q k hamari baka ki zamanat isi may hay k ham apnay hissay ka kaam karain
or hukumat apnay hissay ka.
SHEEZA PARVAIZ..!!!!
No comments:
Post a Comment