ANAAR(POMEGRANATE) OR ISKI AFADIYAT!!!!
Bhot se log anaar ko
phalun ka baadshah kehte hain or iska saboot ye pesh krte hain kai iske sur par
taaj hota hai.daika jae tu anaar dunya kai kadeem tareen palun mai shumaar kia
jata hai.anaar aik kaseer-ul-munafa phal hai.Is mai khamyaat,chicknai,carbohydrate,potassium,calcium,
magnisium,tanbaa,lohaa,sulphur,phosphorus,mukhtalif vitamins or khususan
vitamin c bari miqdaar mai paya jata hai.zaiqey kai lehaaz se iski teen aksaam
hain.anaar-e-sheeren,anaar -e-tarsh,anaar-e-manjosh or ye teeno gizaai
khusiyaat rakhti hain.anaar dil o dimaag ko farhat bakshta hai.kilat e khoon
dor krne ka ye aik behtareen zarya hai.anaar ko khane se mukhtalif bemariyan
dor hojate hain maslan:malaria,dengue,bukhar or khoon kai sartaan jaise marzon
kai liye akseer hai.khatte anaar ka ras mou kai zakhmon kailiye faide

mand hai
.jalan or seene ki sozish mai bhi mufeed hai.anaar kudrat ka shandaar tohfaa
hai.iski darakhat ki chaal,phool,phal ka chilka or yahan tak kai patiyan bhi
mufeed hain.anaar kai surkh meete daane khane mai jitne mazedaar hote hain uska
juice usse bhi zyada mazedaar hota hai,jadeed tareen tehkeeq ye batati hai kai
anaar ka juice hmain heart attack, heat stroke se mehfoz rakhta hai or diabetes
patients kai liye bhi boht faide mand saabit hota hai.anaar aik wahid phal hai
jo sadiyun se artwork mai bhi
istamaal hota aya hai jaise "Madonna of the
pomegranate"jisko aik italian mashor painter ne (ca.148) mai bnaya iske
ilawa "Bouquereau's girl with a pomegranate"jisko aik french painter
ne1875 mai bnaya tha....!!!
SHEEZA PARVAIZ...!!!!!!
No comments:
Post a Comment