TAMBAQO NOSHI AUR IS K NUQSANAAT
Tambaqo noshi bilashuba ek
muzeresehat adaat hai balkay agar ye kaha jae k yeh ek halkay darjay ka nasha
hai tou ghalat na hoga. Tambaqo noshi se insaan ko ek suroor sa mehsoos hota
hai. Is suroor ko hasil karnay k liye wo bar bar koshish kerta hai khas taur
par jab uska asar zaeel hojae. Isk zehar ki shidaat ka andaza nahin hota
lekinkam miqdaar main bhi agar baar baar liya jae tou iski miqdaar kam nahin
rehtiaur isk zehreelay asraat bhi kam nahin rehty. Is ka asar teez ho ya is
qadar kam k mehsoos na ho sehat k liye nuqsaan deh hai.
Fi zamana tambaqo noshi ek fashion
ban gaya hai. Har nojawaan aur khush posh admi agar achi kisam ki cigarette ki
dabi jaib main na rakhta ho tou usey qadar ki nigh se nahin dekha jata. Jis
qadar wo uncha cigarette wo istamaal kerta hoga usi kisam ki high gentry ka
admi mutasavar hoga. In logon nay yeh kabhi nahn socha k is k nuqsanaat
kisqadar hain aur maze ki baat ye hai k kisi tambaqoo nosh se app sawal karein
k app tambaqoo peetay hain zara humein bhi isk fawaeed se agah farmaeen tou is
k pass siwaee is k aur koi jawab nahin hoga k bas ji ek buri adaat par gae hai.
Is ka faeeday tou koi bhi nahin bas ek nasha hai jis ka insaan adi hojata hai.
Nashe k adi insaan ki aqal-o-danish per siwaye roney k aur koi chara kaar nahin
nazar ata. Wo khud mantay bhi hai k samny garha hai aur chaly bhi jarahy hain.
Maloom bhi hai k garhe mein girengay magar nasha nahin tark karengay. Yeh bhi
tasleem hai k tambaqo noshi nuqsaan deh hai iska faeeday koi nahin magar payee bhi
jarahy hain. Iska matlab ye hai k yeh log khud fareebi mein mubtala hain.
Tambaqo noshi muzere sehat adaat hai.
Isey khasi, sir dard, mirgi,asaab ki kamzoori, zaeef hafiza, sakta, bekhwabi,
falig, dewangi, tb, zaeef dil, blood pressure, jasi bemariyaan lahaq hojati
hain. Jadeed tehqiq nay tou yahan taq sabi
kerdiya hai k cancer ki bemari ka majab bhi tambaqo noshi hai. ROzana tv per
ata hai aur cigarette k daby per bhi likha hua hai k ye muzere sehat hai lakin
koi asar nahin balkay tambaqo noshi k nae nae tareqy ijaad ker liye hai. Koi
tambaqoo ko batoor niwaar istamaal kerta hai. Koi naak k zare koi mu per rakh
ker istamal kerta hai. Naaq mein istamaal kernay se demagh ki jhiliyaan kamzoor
hoker nazle main mubtala hojati hain aur niswaar mu mein rakh ker daant zaya
kerletay hain. Cigarette ko chas peny k liye bhi istamaal kiya jata hai. Yaad
rakhe nasha peeny walon ki ibteda cigaretee se hi hoti hai. Nasha khane waley
loog yaqenan cigarette k adi hotay hain aur jo log tambaqo noshi nahin kerty wo
kisi kisam ka nasha istamaal nahin kerty. Tambaqo nishi ki buri adat insane ko
buri se buri manshi ashiya khane ka adi bana deti hai.
No comments:
Post a Comment