Karachi.Goro mander ka kareb fairing 2 aftad zakhmi.9:45 P.M PST

Monday, 16 November 2015

TALEEM-E-NISWAAN
Har mard-o-zan ka ilm ki dolaat se behrawar hona bhoot zaroori hai. Ilm k baghair duniyan andheeri hai. Wohi qaum taraqi kerty hai jis k afraad zaver-e-ilm se arasta hotay hain. Taraqiyafta mulqoon ki misaal humaray samny hai. Kisi mulq main jis qadar ilm zayada hoga usi qadar wo mulq tarqiyafta hoga. Jo mulq pasmandah hain unmain ilm ka fuqdaan hota hai. Wahan k log jahil aur ghair muhazib hotay hain. Aur sach tou yeh hai k baghair ilm k insane khuda ko bhi nahin pehchan saqta aur na hi duniyan ka koi kaam sahi andaze se anjaam diya jasaqta hai.
Islami nuqta-e-nigah se bhi husul-e-ilm lazmi hai. Mard k liye bhi aur aurat k liye bhi, ilm hasil kerny k liye taqeeb hai chahe is k liye dur daraaz bhi jana pare. Zevar-e-ilm se arasta hona ashad zaroori hai. Ilm andhery main ujala kerta hai. Zindagi ki iqdar main nikhar aur waqar ilm se hi asaqta hai.
Mard aur aurat zindagi ki gari k do payee hain. Gari kabhi ek payee se nahin chalsaqti. Is k liye dono payoon ka hona aur sahi halat main hona lazmi hai. Yahi haal Humary mashray ka hai. Iamein mard aur aurat dono ki ahmiyat yaksaan hai. Jab taq dono ilm se behrawar nahin hongay hum kisi surat taraqi nahin kersaqty. Taraqi ka zeena humeesha se ilm hi raha hai. Isi k zarye kamyabi-o-kamrani ki manzil taq pohancha jasaqta hai.
Qudrat nay jo faraeez aurat ko sonpay hain un main sabse aham fareeza bachy ki parwarish ka hai. Maa ki goodh hi bachy k awaleen darshgah hoti hai. Wahn se jo dars bachy ko milega wohi seekhay ga. Agar maa taleem yafta aur saleeqa shuar hai tou aulad bhi sahib-e-ilm aur mohazib hogi kyo k bachy k zayada tar waqt maa k pas hi guzarta hai. Bacha maa k taur tareeqoon aur adaat-o-atwaar se zayada mutasir hota hai. Jahil aur na khuwanda maa bachy k ikhlaq-o-atwaar nahin sanwaar saqti laqin perhi likhi aur samjhdaar maa apnay bachy ki tarbiyaat main bohat madadgaar sabit hoti hai aur iski nighedassht sahi taur per kersaqti hai aur is k khayalat-o-kirdar ko nikhar saqti hai. Wo is mein ikhlaaq, humdardi aur isaar paida ker k jazba-e-hubul wataan bedaar kerdeti hai. Is mein koi shak nahin k baap ka bhi bachy ki perwarish main bhoot hisaa hota hai magar isey inkaar nahin kiya jasaqta k ibtedai taleem maa ki gaud main hi milti hai baap ko tou ghar ki fikar-e-maash hi chain nahin leenay deti. Bari bari shakhsiyatoon nay maa se hi tarbiyaat pae. Isi chotay madarse se bachy ki taleem ka aghaz hota hai. Sab se pehlay maa hi bachy k mu main alfaaz dalti hai.Isey ibtedae tehzeeb waheen se milti hai aur yahi taleem baray hoker iski fitrat main rach bas jati hai.


AQSA IQBAL

No comments:

Post a Comment