Karachi.Goro mander ka kareb fairing 2 aftad zakhmi.9:45 P.M PST

Wednesday, 18 November 2015

Fashion And Style.

Lights Camera Action... Beauty Of life Fashion And style...reflects our craziness in Colors. Fashion is what we wear, what others observe from us. Its not just copying but to make a difference for the seekers. Fashion could be of any type , formal wear ,party wear, daily wear or bridal wear these are the requirements that a girl would need for wearing it. Fashion is not just wearing heavy and expensive clothes but how we as a person makes that heavy clothes different by wearing it.. A person wearing less price clothes but she is portraying herself in a high standard manner.This makes a difference of fashion. 
               A girl who covers her head and has to attend a wedding, she will cover her head as she is used to of it and I am sure none will force her to remove the scarf.. Wearing a heavy dress with a scarf made her fashion style different from others. Fashion is not dressing but the whole posture counts a lot. From Head to Toe What Ever you are wearing is Fashion.The hair style you have made  ,the jewelry you are wearing, the shoes you want,the color combination your dress has and a lot more is called Fashion. We usually observe from other countries about fashion and that's our most common mistake which should be avoided..Instead, we must introduce new things in market so that people could learn from it. Fashion should be passion of a person so that people could enjoy and make others happy with their efforts and work related to it.  
By:Ayesha Anwer
Moashra Or Aj Ki Aurat!!!!


Dunya mai agar hm sab se khobsurat or maqbool rishte ki misaal dain  tu hum bila jijhak us hasti ka naam lengy jo aik azeem shaqsiyat ki malik hai or is dunya m isko bhot se
naamo se jana jata hai wo kbhi maa bunkar,kbhi beti bunkar or kbhi behan bunkar hmare samne aye jisko hmare mazhab e islam ne izzat o ahtaram ka darja diya.Islam hi wo wahid mazhab hai jisne auraton kai huqoq ka sabse zyada khayal rakha hai hr kism ki zyadti or kotahi ko khatam krdia hai.Tamam ahkaam ki trah aurat kai hukum mai bhi ahtadaal ko apnaya hai. na to bilkl azaad or na qaidi bulkai isay poray hukuq o ahtaram k sath dunya m rehne ka hukum dia,Allah ne "Maa kai paon k neche jannat rakhi hai",betiyun ko Allah ki rehmat karar dia hai or aik behan ka darja Maa k baraber rakha hai.Agar hm in baton par gor karain tu ye saari batain sirf hmare bolne ki had tak hain? ya asal zindagi m bhi is
baat ka koi amal dakhal hai?agar hm aj kl kai is mojoda dor ki baat krain tu larkiyun ki taleem ko aam krdia hai or bhot se tabke aise hain jahan larkiyun k liye taleem ka shaor bedaar horaha hai or bhot se anparh tabke aise hain jahan is baat ki zarort samjhi jarahi hai k larkiyun ko bhi taleem hasil krni chaiye magar jb aik larki apni taleem mukamal krke degree laikar apne ghar se mulazmat k liye nikalti hai tu hmara moashra kyun is larki ko acha nahi samjhta?Is larki ko kyun wehshat bhari nazron se daikh jata hai?or jab wo apn mehnat se kise baray ohday par faiz hojate hai tu kyun iske peet peche gair ikhlaqiii batain ki jati hain?Iswqt kyun is makbool rishte ko bhol jate hain?kyun log apne ghr ki maa betiyun kai uper rakh kar nae sochte?kya aurat hona is dunya m gunah hai?ya hmara moashra ab tak is purane dor k reati revaaj kai sath chal raha hai??agar hm purane dor ka
mojoda dor se mawazna karain tu farq sirf itna hai k us dor mai larkiyun ko paida hote hi jala dia diya jata tha or aj kl larkiyun ki izaton ko ruswa kia jaraha hai jiska koi pochne wala nahi hai.aaj bhi log dusron k samne apni betiyun,behnon ki khobiyan batatai huwe sharam mehsus krte hain.Agar hum is baat par gor karain tu aj bhi hmare aabao- ajdaad aj bhi is baat ko tasleem krte huwe apni touheen samjhte hain or shayad apne mou se is baat ko kehte wqt bhi darte hain, kai wo aik aurat hi hai jiske dum se ghar m ronaq hoti hai jo ghr ko sambhalna ba khobi jante hai iske ilawa wo kbhi maa bunkar,kbhi beti bunkar ,kbhi b.v bunkar r kbhi behan bunkar apne se musalik tamam logo ko apni aagosh mai lailaite hai or is baat ka khayal rakhti hai kai iska koi rishta kaanch kai tukron ki tarah toot kar bikhar na jae..jab aik auraat apne ghr walon k liye itne qurbaniyan daiti hai tu kya isko aik aazaad
zindagi jeene ka bhi haq nae hai?kya isko taaza hawa mai sans laine ki tammana nahi hosakti ?kya ainda any wale har dor mai aurat par isi tarhan ki hukumraani ki jaegi jaise ab tak hota aya hai?????

SHEEZA PARVAIZ.........!!!!!!!!!!!.
ANAAR(POMEGRANATE) OR ISKI AFADIYAT!!!!


Bhot se log anaar ko phalun ka baadshah kehte hain or iska saboot ye pesh krte hain kai iske sur par taaj hota hai.daika jae tu anaar dunya kai kadeem tareen palun mai shumaar kia jata hai.anaar aik kaseer-ul-munafa phal hai.Is mai khamyaat,chicknai,carbohydrate,potassium,calcium, magnisium,tanbaa,lohaa,sulphur,phosphorus,mukhtalif vitamins or khususan vitamin c bari miqdaar mai paya jata hai.zaiqey kai lehaaz se iski teen aksaam hain.anaar-e-sheeren,anaar -e-tarsh,anaar-e-manjosh or ye teeno gizaai khusiyaat rakhti hain.anaar dil o dimaag ko farhat bakshta hai.kilat e khoon dor krne ka ye aik behtareen zarya hai.anaar ko khane se mukhtalif bemariyan dor hojate hain maslan:malaria,dengue,bukhar or khoon kai sartaan jaise marzon kai liye akseer hai.khatte anaar ka ras mou kai zakhmon kailiye faide
mand hai .jalan or seene ki sozish mai bhi mufeed hai.anaar kudrat ka shandaar tohfaa hai.iski darakhat ki chaal,phool,phal ka chilka or yahan tak kai patiyan bhi mufeed hain.anaar kai surkh meete daane khane mai jitne mazedaar hote hain uska juice usse bhi zyada mazedaar hota hai,jadeed tareen tehkeeq ye batati hai kai anaar ka juice hmain heart attack, heat stroke se mehfoz rakhta hai or diabetes patients kai liye bhi boht faide mand saabit hota hai.anaar aik wahid phal hai jo sadiyun se artwork mai bhi
istamaal hota aya hai jaise "Madonna of the pomegranate"jisko aik italian mashor painter ne (ca.148) mai bnaya iske ilawa "Bouquereau's girl with a pomegranate"jisko aik french painter ne1875 mai bnaya tha....!!!

        SHEEZA PARVAIZ...!!!!!!

Far From Homeland

                A day to stay at home alone..to be yourself in your room,to eat as you like, to cook what you want..The Day Was Sunday..In United Kingdom...Studying in UK alone is a tough time but taught a lot of moves that life has. The time was running very fast and its third year in Aboard. 
           To get something  we have to sacrifice and that what life wants. Its really hard to live life without family..As if it's Men or a Women its tough. Going out for shopping ,traveling alone, smiling alone, crying alone needs a very big heart to survive with. People think Girls that are studying alone do something that makes their parents shameful. But they don't know how to live life by our self only. Getting reliable to your parents makes some problem..we have to get a job to zip others and peoples mouth forever. My Future, My Life, is very important as others give importance to something for sake. The key to the future should be meaningful for our mental and physical strength Life gives a chance to get success and fulfill goals but its in our hands that how well we make our goals to final level. Its not easy but its not difficult also..So the spirit of working hard should be in your veins so that life gets simpler and better for Future.  

Upcoming GENERATION A Model Of Technology

        Early Days of life.... Full Of Life and meaningful life...Communicating was not easy but people do connect with their loved ones through letters . Respect and importance of people was important for everyone. A child opens his eyes in this world and he starts to play with toys. 
       21 century, the upcoming world of traditional and disruptive technologies that are bringing people and governance in IT departments. The modern technology has left behind the loved ones and the family so where back. Time is the most difficult  thing to get from someone....Life is going fast with new technologies and terminologies...Our Youth usually  will be seen at Internet, Social Media, Films And Dramas. The only work left for spending life is Social Media...it do give us information regarding politicians or any other interesting news but everything should be in limit as the limits are crossed the people get into a big loss...that type of loss which you can't imagine in their life. If we talk about A school going child..the schools are now teaching at the projectors and tablets... the use of white chalk has been vanished some where. A child has to use that tablet as he has seen at school because children observe things quicker. My opinion at this point is that we should divide things and time into different groups so that people and technology should be equal in our life's.
By:Ayesha Anwer

Life That Labels Dreams

      Dreams are the most innocent perception of our life but some dreams give us many barriers in our real path too. To be good to others gives a nice feed back and negative impact receives rudeness of people. Having different mind sets, selective nature and modern life style shows the worlds reality. The Creator of this World has clearly defined the rules of spending life in a
good manner. 
The humans should have the ability to judge the people and their minds..it is true That You Can Not Judge A Book By Its Cover But its easy to judge peoples real and fake expressions. To be aware of  something makes the mistakes impossible.    Its basically a social awareness from peoples reaction. A person having different mood can be caught easily but as far as those people are concerned who don't show off their feelings its hard to judge. Group of ideas reacting in positive and negative way portray themselves in a trendy manner. Best way to react as it is said Think Positive And Be Positive..Life gets easy when everything is in positive way.

By Ayesha Anwer
GADA GARI

Kisi se kuch mangna aur is k badlay mein koi kaam na kerna ya leker wapis na kerna bheek mangna ya gada gari kehlata hai. Pehlay zamanay mein gada gari majboor hoker ki jati thi. Koi apahich hota ya bilkul beqaar hota ya koi asa zaroorat mand hota jis ki zaroort apni mash se puri na hosaqti ya jiska koi mashi wasila na hota tou majboor hoker bheek mangta magar ajkal bheek mangnay k bohat se tareqy ijaad hogae hai. Koi ilteja ker k mangta hai, koi faryaad ker k mangta hai, koi gana ga ker mangta hai, koi saaj ya baja bajaker mangta phirta hai, koi sarangi bajaker mangta phirta hai, koi jaali apahich banjata hai, koi beyar-o-madagaar musafir ban ker mangta phirta hai, aur koi apnay mali nuqsaan ka bahana bana ker mangta hai. In mein zayada se zayada panch feesad loog asy hotay hain jo waqi haqdaar hotay hain jinhoon nay gada gari ko khandani toor per apnaya hua hai aur bohat se logoon nay isey batoor karobaar apnaya hua hai kyo k jab insaan apni gheraat ko kherbaad kehdeta hai tou usey mangnay mein koi aar kehsoos nahin hoti.


Ajkal loog itnay chalak aur hoshyaar hogae hain k unhoon nay gada gari k liye ajeeb ajeeb kisam k tareeqay apnaye hotay hain. Kae admi achay bhaly hotay hain magar zahiri taur per andhey bany hue hotay hain. Kae loog apnay app per masnooe rasha tari kerlety hain taqe loog in per tars kha ker inhein zayada se zayada pasy dein. Is k ilawa kae log masjid ya dini madarsa ka bahana banaker mangtay phirtay hain aur islam aur mazhab ka wasta deker logon se pasy batoortey phirty hain. Ye log karobari zehn se mangtay hain. Logon ko ayaat-o-hadees suna suna ker bhi pasy denay k liye inhein tayar kerlety hain. Khas tour per khawateen insey bohat jald mutasir hojati hain. Asy log bhi dekhe gae hain jo gharon mein bazahir faqeer k taur per dakhil hotay hain aur phir asy alfaaz aur jumly alpny lagjatay hain jinse wo both bary buzurg ya najoomi maloon honay lagtay hain. Is tarha wo sada loh aurtoon ko loot letay hain aur unhein bohat nuksaan pohancha detay hain. Is kisam k loog gada gari bhi kerty hain aur choori aur thagi bhi kertay hain. Is kisam k loog bohat hi khatar naaq aur jaraem pasha hotay hain. Asy log apni gharz k liye buzurgany deen aur aoliya allah ki aar leker mangtay phirtay hain.

AQSA IQBAL

Tuesday, 17 November 2015

TAMBAQO NOSHI AUR IS K NUQSANAAT


Tambaqo noshi bilashuba ek muzeresehat adaat hai balkay agar ye kaha jae k yeh ek halkay darjay ka nasha hai tou ghalat na hoga. Tambaqo noshi se insaan ko ek suroor sa mehsoos hota hai. Is suroor ko hasil karnay k liye wo bar bar koshish kerta hai khas taur par jab uska asar zaeel hojae. Isk zehar ki shidaat ka andaza nahin hota lekinkam miqdaar main bhi agar baar baar liya jae tou iski miqdaar kam nahin rehtiaur isk zehreelay asraat bhi kam nahin rehty. Is ka asar teez ho ya is qadar kam k mehsoos na ho sehat k liye nuqsaan deh hai.

Fi zamana tambaqo noshi ek fashion ban gaya hai. Har nojawaan aur khush posh admi agar achi kisam ki cigarette ki dabi jaib main na rakhta ho tou usey qadar ki nigh se nahin dekha jata. Jis qadar wo uncha cigarette wo istamaal kerta hoga usi kisam ki high gentry ka admi mutasavar hoga. In logon nay yeh kabhi nahn socha k is k nuqsanaat kisqadar hain aur maze ki baat ye hai k kisi tambaqoo nosh se app sawal karein k app tambaqoo peetay hain zara humein bhi isk fawaeed se agah farmaeen tou is k pass siwaee is k aur koi jawab nahin hoga k bas ji ek buri adaat par gae hai. Is ka faeeday tou koi bhi nahin bas ek nasha hai jis ka insaan adi hojata hai. Nashe k adi insaan ki aqal-o-danish per siwaye roney k aur koi chara kaar nahin nazar ata. Wo khud mantay bhi hai k samny garha hai aur chaly bhi jarahy hain. Maloom bhi hai k garhe mein girengay magar nasha nahin tark karengay. Yeh bhi tasleem hai k tambaqo noshi nuqsaan deh hai iska faeeday koi nahin magar payee bhi jarahy hain. Iska matlab ye hai k yeh log khud fareebi mein mubtala hain.

Tambaqo noshi muzere sehat adaat hai. Isey khasi, sir dard, mirgi,asaab ki kamzoori, zaeef hafiza, sakta, bekhwabi, falig, dewangi, tb, zaeef dil, blood pressure, jasi bemariyaan lahaq hojati hain. Jadeed tehqiq nay tou yahan taq sabi kerdiya hai k cancer ki bemari ka majab bhi tambaqo noshi hai. ROzana tv per ata hai aur cigarette k daby per bhi likha hua hai k ye muzere sehat hai lakin koi asar nahin balkay tambaqo noshi k nae nae tareqy ijaad ker liye hai. Koi tambaqoo ko batoor niwaar istamaal kerta hai. Koi naak k zare koi mu per rakh ker istamal kerta hai. Naaq mein istamaal kernay se demagh ki jhiliyaan kamzoor hoker nazle main mubtala hojati hain aur niswaar mu mein rakh ker daant zaya kerletay hain. Cigarette ko chas peny k liye bhi istamaal kiya jata hai. Yaad rakhe nasha peeny walon ki ibteda cigaretee se hi hoti hai. Nasha khane waley loog yaqenan cigarette k adi hotay hain aur jo log tambaqo noshi nahin kerty wo kisi kisam ka nasha istamaal nahin kerty. Tambaqo nishi ki buri adat insane ko buri se buri manshi ashiya khane ka adi bana deti hai.

EDUCATION  SYSTEM

         


Taleem ka husol pakistan main moshkil sa moshkil ho ta ja raha hy.Ak zamana wo b ta jab ealm ka husol itna moshkil na ta..Phaly Government  or private school ki tadad zeada or fees kam hoa karti thi.Taleemi mayar ki baat ki jai to is dor main phaly school private schools sa kesi tarha bhi pecha na ty. Is dor main private schools ki tadad kam or fees monasib hoa karti thi.Ab mojoda dor main government schools ka haal ya hy k yaha fees nahi le jati or Taleem b nahi di jati.


Hamara yahn school is emarat ko kaha jata hyjiss main bachay Taleem hasel kar nay ki garz sa jatay hn.Hamari yahn molk bhar main nai nai sarko ki tameer or degar kai mansubay taze sa mokamal keya jaty hn .wqktan fa wqktan constraction ka kam taze sa jari rhata hy .Lakn sab sy eham kam jo karna ka hy os ko hi nazar andaz keya jata hy....guzeshta dino kai school ki chaht gir nay sa sekro bachay zakmi ho gay or un zakmi hona walo ka kosor sirf itna hy k unhain parna tha.
Ajj boht sa schools ki halat asi hy k classes main fans nahi , schools main peena ka saf pani nahi, to kai school ki chaht hi gir jati hy....


Government schools main books government far ham karti hy.In ketabo ki zemadari hokomat k sar hoti hy.Har saal jab b naya taleemi section shoro ho ta hy.logo ki taraf sy is bat par ehtajaj or mozahera shoro ho jata k hamara bacho ko ketabain nahi mili or kai deno sa ketabo k leya dhaka khary hn or talbat ko bar waqt ketabin na mili to wo imtahan ki taiyare kasa karn ga.

"Apex court ka faisla or mobile companion k liay karobaar k naey mawakay.."

Pakistan ki idalat-e-uzma nay CMPak(Zong)k haq may faisla day dia jis k bais telecom network k karobaar may naey sarmayakari aanay k imkanat roshan ho gaey hain faislay k
mutabik koi bhee shakhs ab aik cnic par 8 sims register karwa sakta hy jis may say 5 sims phone call k liay jab k 3 sims data k liay istamal ki ja sakain gii  faislay say pahle  aik nic par 5 say zaid sims ka ijra mana tha jis k sabab is shobay may naey sarmayakaar aanay say hichkichat ka shikaar thay taham is k khilaaf CMPak(Zong) juarrat mandana kadam latay huay nay idalat say rujoo kia or aala idalat nay in ki darkhawast ko durust manty huay 8 sims ki ijazat dai di science  technology k dor may aisay faslay say awam ki maloomat tak fori rasai mumkin ho sakay gi or information technology k is dor may maloomat tak aasan rasai kamyabi ki kunji sabit hosakti hy or is may koi shak nahi k iktisadi sargarmion ko idalat is faislay say barhtari milay gi naey frenchise kai kayam amal may aey
ga aor rozgaar k mawakay paida hon gay jo hamari majmui iktisadi halat ki bahtri k liay soodmand hongay  ya hamari baka or tarakki k liay nihayat aham hay lakin is k sath sath hamari zimadari bhee kai guna barh gai hay maloomat k galat istimaal ka khatra bhee ab pahlay say ziada ho gaya hay aisay may hamari salamti ko shadeed khatraat lahak ho sakty hain chunacha zaroorat is amar ki hay k hukoomat bio
matric shanakht  jasay mutadid ikdamat karay takay iktasadi tarakki k sath  mulk ki salamti ko bhee yakeeni banaya ja sakay or awam ka ya farz banta hay k wo aisay ikdamat par tankeed karny k bajaey in ki ahmiat or zarurat ko samajhhty huay in par amal daraamad kar k hukoomat ko support karain aor apni komi zimmadari ada kar k faraz  shanas shahri hony ka saboot dain.jo komain apnay faraiz ki adaigi may pas o paish karti hain un ka naam tak dunia may baki nahi rahta lahaza ab ya faisla karna hamary ikhtiar may hay k hm tarakki chahty hain ya baka ya phir baka k sath taraki ??
                                 SHEEZA PARVAIZ....!!!!!!



                   "Sheesha baar or hamari nojawan nasal.."


Guzishta dino mukhtakif ilakon may kaim aisay hotalon or restoraan k khilaaf chapa maar karwai ki gai  jahan hamari nasal ki tabahi ka bais bannay wala hukka jissay ab sheesha k naam say bhee jana jata hy bakasrat or ba aasani
dastyaab tha. hukumati idaron nay kabil e tahseen kadam uthaya or barwakt karwai kartay huay kuch zimmadaar afrad ko hirasat may lay lia aisay ikdamat ko jald lana chahiya tha lakin phir bhee dair aey durust aey k masdaak ya aik acha kadam tha taham zaroorat is amar ki hay k ab aisay intizamat kiay jain k jin say hamari nai nasal ko ainda aisi buraion say bacha kar apnay mustakbil ko mahfooz kia ja saky.isi k sath hamay un wajuhaat par bhee tawajjo dani chahiya k jo nojawano ko is galat raastay par lay jany ki zimmadar hain.jab tak ham un bunyadi masail ko hal nahi kar laity tab tak bay rah ravi ka raasta band nahi ho sakta.maslan muasharti nahamwarion nay tarha tarha k masail ko
janam dia hay isi tarha aaj kal media ka barhta hua asar nai nasal ko glamour ki dunia ki taraf khanchta hy or wo khud ko kisi film ka hero samjhty huay hakiki dunia say door hotay chaly jarahy hain.un ki batain afsanwi or khawaishat gair hakiki ho chuki hain masail ka saamna karny or un ko hal karny ki koshish k bajaey wo rahay farar ikhtayar karny lagay hn.is k ilawa walidain ki gaflat bhee asay masail ka bais hy k jo jawano ko galat rah par lay janay ka mojab ban rahi hay. ham jantay hain k insaan aik samaji  janwar hay isay
tanha rahna kbhi bhee pasand nahi raha lahaza tanhai k shikaar nojawan amooman aisi sargarmion may jaldi mulawwis hojaty hn jo ikhlaki girawat ka sabab hoti hn or jab baat agay barhti hy to yahi sargarmian unhay jurm ki dunia may lay jati hain k jahan say wapsi kay raastay mahdood hotay chaly jatay hain.hukumat k sath sath ba haisiat e zimmadar shahri k ham sab ka ya farz  banta hay kay jab bhee jahan bhee aisi koi kharabi dakhain foran us kay sad e baab k liay koshish karain apni community ya muhally k logon ko sath mila kar marboot andaaz may us ka hal talash karny ki koshish karain jahan tak mumkin ho sakay apni madad aap k tahat kaam karny
ki koshish karain or jahan hukumti idaron ki madad ki zarurat ho un say madad hasil ki jaey q k hamari  baka ki zamanat  isi may hay k ham apnay hissay ka kaam karain or hukumat apnay hissay ka.


SHEEZA PARVAIZ..!!!! 
"MAY APNI ANKHON KI TARAH IN BAYJAAN ANKHON MAY BHI ROSHINI KAY DIYE JALANA CHAHTA HUN"


Dunia may shaaz o nadir hi aisay log hain jo apni zaat say ziada
dusron k dukh or dard ko ahmiyat daitay hain aisi hi aik misaal Akram Lodhi hain jo apnay waldain ki ikloti aulaad hain.ikloti aulaad honay k natay har maa baap ki tarha inkay waldain ko bhi inkay mustakbil say bohat si umeedain wabasta theen.waldain ki khuwahish ko pora krnay k liye unhonay engineering university,lahore se 1990s may mechanical engineering k shobay say degree hasil ki.
 Jab career ki shruwat ka waqt aya tu wo shab kori (night blindness) ka shikar hogae or waqt k sath sath inki ankhon ki roshni inhay andheron ki taraf laigai,inki himmat ka aalam ya tha kay unhone isi cheez ko apna career muntakhib karlia.Pakistan, or dunia bhar say iskay khatmay ko apna mission banalia.apnay is mission ko poora karnay k liye unhoney VISION FOUNDATION ki bunyad rakhi or inkay jan nisaar doston ne bhi is kaam m inka bharpoor sath dia ,wasail ki kami k bawajood inhonay apna mission jari rakha.kafi reasearch k baad inhay jab pata chala k wifaqi wizaart e sehat k servey k mutabiq 16 % abadi shab kori may mubtala hay or jinki ziada tadad Sindh k zila Thatta say taluq rakhti hay r in may yaksan tadad bachon ki hay or in may raat ka andha pan aik waba ki tarah phail raha hay .Inhy is baat ka darr khanay laga K agar is waba ko fori tor par khatam na kia gaya tu in bachon ka mustaqbil barbad hojaega r wo apni ankhon say is dunia k khoobsurat rang nahi daikh paeyengy.jab inhonay shab kori say mutaliq Sindh k
dayhaton may mohim ki shuruwaat ki ,wahan k baybas laachaar logon ko daikha to vision foundation nay pehlay 15 bachon ka ilaaj krwane ka faisla kia waqt k sath sath kafi logo ne inki madad bhee ki r is kaam may aik tasalsul kaim hogaya.
Inki jaddo jehad r koshish say Pakistan ka pahla R.P (Retinitics Pigmentosa) centre 14th April 2013, may kaim hua jiskay iftitah may sabik DG NAB Mr. Wajid Ali Khan Durrani, nigraan wazeer e khazana Mr. Shabbar Zaidi, MNA Kishwar Zehra, PCSIR kay Principal scientific Research, or Shahzad Eye hospital k Dr. Harris Shahzad , DXN International k CEO Mr. Zarif or President Vision Foundation Engr. Akram Lodhi shamil thay.
Inki kamyabi ka andaza is baat say lagaya jasakta hay,k inhay mukhtalif t.v channels ki janib say madoo kar k in k kaam ko saraha jata hay or mukhtalif akhbaraat may inkay kaam k mutaliq khabrain shayaa ki ja chuki hain.inki himmat ko daad daitay huway
aj baht saray log inkay sath hain r umeed hay k ye silsila is marz k khatmay tak qaim o daim rahay ga.
Maira ap say ye sawal hay k agar apki zindagi m aisa koi afsosnaak waqiya pesh aye tu aap is cheez ko apni anay wali zindagi may kaise shamil karengy ???? kia apni poori zindagi aik laash bun kar guzaar daingay ? ya apne zindagi may hue us waqiye ko apne takat banakar logon ki nazron may apna makaam banaengy jaisa k Akram Lodhi nay kia or karahe hain.
https://www.facebook.com/visionfoundation/?fref=ts

SHEEZA PARVAIZ

Whom Do You Trust..?

       Trust,an intangible part of our real and daily life. We trust our family, friends and the known person's. They are the people who are engaged in our life's. But when we talk about individuals we meet, trust goes beyond our own personal relationships. Its very hard to trust an unknown person.Trusting people means we rely on person's integrity,strength or ability. Trust is an highly valued  commodity and something that everyone has vested interest in.
       

If we consider about professional people like Doctors,Teachers and other professions ,we have to trust them because of their personalities and work. Many of the other countries conducted a survey from that it revealed, the most of the people in different countries and places trust Firefighters,Doctors,Teachers,Farmers and Politician's also.The people living globally trusts those who they can but for that a sharp mind set to judge people is needed. There are different people and have different nature so trusting everyone is quite high.Action speaks louder than words .Trust is a secret invasion,it takes years to develop and can be destroyed in seconds.. So Meet Everyone But Trust No One..  
By: Ayesha Anwer
  

Monday, 16 November 2015

PAKISTAN KI TAMEER-O-TARAKI MEIN TULBA KA HISAA

Kaun hai jisey apnay wataan se mohabat nahin hoti. Ye haqeqat hai k apnay watan se har shaks ko mohabat hoti hai. Wataan k naam per har shehri mar mitnay ko tayaar hota hai. Wataan ki tamer-o-taraki ka jazba qomoon k khayalat-o-amal ka ek azeem sarmaya hai. Asal main wataan aur qaum lazim-o-mazloom hain. Qaum ki zindagi k liye wataan ka istehqaam lazim hai.

Pakistan ko mazboot aur mustehqam banay ki zimedari kisi ek fard per aeed nahin hoti balkay har us fard per aeed hoti hai jo is madr-e-wataan ka sapoot kehlata hai aur jo yahan rehta jo is mati mein pal ker jawaan hota hai. Jo iski khubsoorat wadiyon se lutf andooz hota hai aur yahan reh ker azadi ka saans leta hai. Pakistan humara wataan-e-azeez hai. Yeh humarai umeedon ka mehwar aur markaz hai. Is k liye kaam kerna iski taraki-o-tameer mein hisa leena har Pakistani ka farz hai. Is fehrist mein tulba bhi shamil hain. Tulbah ka tabqa mulq ka behtreen sarmaya aur is k roshan mustaqbil ki zamanat hai. Mulk ki aeenda taraki ka inhesaar inhi ki soch boojh aur inhi ki mehnat per hota hai kyo k aj k nojawaan kal k nihayeet hi zimedaar afraad kehlaeengay.

Tulba ko chahaye k mulk ki falahi tanzeemon main hisa lein aur rafahi kamoon mein hisa leker wataan ki khidmat ka fareeza siranjaam dein. Inhein chahye k asi tanzeemein banaein jo nakhuanda afraad ko taleem dein. Apnay gird-o-paesh k mahool k logoon main jazba-e-hubul wataan ka ahsaas dilaein taqe qaum mein wataan k liye isaar-o-qurbani ka jazba taza rahe. Logoon ki tawajha sehat-o-safai ki taraf mabzool kerwatay rahein. Wo inmein ek sehatmandana zehan paida kersaqtay hain jisey khudgharzi aur haqtalfi k rujhanat khatam hosaqtay hain. Is tarha wo awaam mein zinda qaumoon ka sa jazba paisa kersaqtay hain.


Muqam-e-afsoos hai k tulba ki aksaryaat ala mulazmatoon aur husuly zar k liye taleem hasil kerty hai. Inka nazaryan bhot buland hona chaheye. Wo agar qaum ki khidmat k jazbe se taleem hasil karein tou unk apnay maqasid bhi hasil hosaqtay hain aur wo mulq ki khidmat ka muqadas fareeza bhi anjaam de saqtay hain. Tulba ko apni zehni salahiyatoon aur rujhanaat k mutabiq apny mazameein ka intekhaab kerna chaheye isey wo zayada kamyaab hosaqtay hain aur qaumi taraki k mukhtalif daeeroon mein apni salahiyatoon ko puri tarha baroo-e-kaar lasaqtay hain.

AQSA IQBAL
TALEEM-E-NISWAAN
Har mard-o-zan ka ilm ki dolaat se behrawar hona bhoot zaroori hai. Ilm k baghair duniyan andheeri hai. Wohi qaum taraqi kerty hai jis k afraad zaver-e-ilm se arasta hotay hain. Taraqiyafta mulqoon ki misaal humaray samny hai. Kisi mulq main jis qadar ilm zayada hoga usi qadar wo mulq tarqiyafta hoga. Jo mulq pasmandah hain unmain ilm ka fuqdaan hota hai. Wahan k log jahil aur ghair muhazib hotay hain. Aur sach tou yeh hai k baghair ilm k insane khuda ko bhi nahin pehchan saqta aur na hi duniyan ka koi kaam sahi andaze se anjaam diya jasaqta hai.
Islami nuqta-e-nigah se bhi husul-e-ilm lazmi hai. Mard k liye bhi aur aurat k liye bhi, ilm hasil kerny k liye taqeeb hai chahe is k liye dur daraaz bhi jana pare. Zevar-e-ilm se arasta hona ashad zaroori hai. Ilm andhery main ujala kerta hai. Zindagi ki iqdar main nikhar aur waqar ilm se hi asaqta hai.
Mard aur aurat zindagi ki gari k do payee hain. Gari kabhi ek payee se nahin chalsaqti. Is k liye dono payoon ka hona aur sahi halat main hona lazmi hai. Yahi haal Humary mashray ka hai. Iamein mard aur aurat dono ki ahmiyat yaksaan hai. Jab taq dono ilm se behrawar nahin hongay hum kisi surat taraqi nahin kersaqty. Taraqi ka zeena humeesha se ilm hi raha hai. Isi k zarye kamyabi-o-kamrani ki manzil taq pohancha jasaqta hai.
Qudrat nay jo faraeez aurat ko sonpay hain un main sabse aham fareeza bachy ki parwarish ka hai. Maa ki goodh hi bachy k awaleen darshgah hoti hai. Wahn se jo dars bachy ko milega wohi seekhay ga. Agar maa taleem yafta aur saleeqa shuar hai tou aulad bhi sahib-e-ilm aur mohazib hogi kyo k bachy k zayada tar waqt maa k pas hi guzarta hai. Bacha maa k taur tareeqoon aur adaat-o-atwaar se zayada mutasir hota hai. Jahil aur na khuwanda maa bachy k ikhlaq-o-atwaar nahin sanwaar saqti laqin perhi likhi aur samjhdaar maa apnay bachy ki tarbiyaat main bohat madadgaar sabit hoti hai aur iski nighedassht sahi taur per kersaqti hai aur is k khayalat-o-kirdar ko nikhar saqti hai. Wo is mein ikhlaaq, humdardi aur isaar paida ker k jazba-e-hubul wataan bedaar kerdeti hai. Is mein koi shak nahin k baap ka bhi bachy ki perwarish main bhoot hisaa hota hai magar isey inkaar nahin kiya jasaqta k ibtedai taleem maa ki gaud main hi milti hai baap ko tou ghar ki fikar-e-maash hi chain nahin leenay deti. Bari bari shakhsiyatoon nay maa se hi tarbiyaat pae. Isi chotay madarse se bachy ki taleem ka aghaz hota hai. Sab se pehlay maa hi bachy k mu main alfaaz dalti hai.Isey ibtedae tehzeeb waheen se milti hai aur yahi taleem baray hoker iski fitrat main rach bas jati hai.


AQSA IQBAL

Sunday, 15 November 2015

BRANDED ....BRANDED KAR NAY WALAY

Feroun tarikh ka phala hoqomran ta jis nay awan-e-iktadar ki hefazt ka nehayat shandar nezam wahze keya tha.Feroun nay hoqom deya ajj ka bad Israel ka har peda honay wala bacha katal kar deya jai or os k hoqom par bani israel k hazaro bacho ko katal kar deya gaya lakn os ko khabar na thi k wo bacha os k mahal hi main parwarish pa raha tha or akhir kar os ki badashahat khatam ho gai os ki saltanat or wo khud ebrat k neeshan ban gaya....is k bad america dosri qom hy jo samaghti hy k  insan ko kabhi mout nahi anni...wo samaghta hn k  mout ko rokh sakty  hn is leya awan-e-iktadar ko  full proof security system banaya hy. Insani jan ki security par 50 arab dollar kharch karty hn.lakin is tamam tar intazam or security k  bawajod  ak mamoli shaks ki mamoli si golli ka neshana ban jaty hn.
























22 nov 1993 ko  john eilf ak namalom afrad  ki goli k  neeshana banain ,Indira gandhi ap nay hi wafadar guard ki goli k  neshana bangai thi or  Journal zia-ul-haq 17 aug 1987 ko mazi ka qissa bangay... ya chand log  nahi hn  naslay insani  ki tarikh  main dunya  ka koi security system mout ka rasta nahi rokh sakta ,mout ak dil chasp  haqikat   hy jab wo anay par ati hy to wo asman say nazil hoti hy ,zameen say phot par ti hy,mashrik ,magib,shumal or jonub sa ati hy.dunya ka koi nezam ,dunya ki koi takat is ko nahi rokh sakhti. Is haqikat ko jantay  howa b ajj k  insan ghoror karta hy apni takat par ...Hamin ghoror hota hy apni takat par apni banay  howa system par ,ghoror kar ta hn apna shahe- sharer ka ... ya wo log hain jo zindagi bhar Branded Branded kar tay hn magar bhol  jatay hn Kafan ka koi Brand nahi hota.....

                                       

                                    Dunya ka musafer manzel tari qabar hy
                                  Tay kar raha hy jo to,do din ka ya safar hy

Bhol betha hy ajj ka  insan ya zindagi ya dunya sab fani hy. Jab say bani hy ya dunya lakho karoro log ai koi raha na baqi , ya Alli shan mahal ,ya Alli shan bangla, ya aysho sa bhari zindagi sab kuch yahi rha jai ga waha kuch kam nahi ai ga . Jis ka pecha hum bhagty  hn .bhol bheta  hy insan k pata nahi zindagi main kon si bat akhri ho gi kon si rat akhri  ho gi pata nahi kuch...saman soo baras ka , pal ki khabar nahi.


.

MASHRATI KHARABIYAN AUR UNKI ISLAAH

Lakri ko ghun aur mashrae ko buraiyaan kha jateen hain. Mashrati buraiyoon ko is qadar faroogh hasil hochuka hai k na sirf zati zindagi na sirf humari qoomi aur ijtemaee zindagi bhi ajeeran hoker rehgae hai. Agar kaha jae k burayoon nay humein nahn gheera balky humnay khud hi burayoon ko apny upper hawi kerliya hai tou ghalat na hoga kyo k buraiyan khud hi nahn ajatein humari apni kotahi, sussti aur deen se bezari ki wajha se paida hoti hai. Hum maghribiyaat k junoon main apna app bhula baithy hain. Humnay apni salahiyatoon aur iqdaar ko kheerbaad kehdiya hai aur humari zindagi ka sabse zayada afsoosnak aur khatarnaaq pehlu yahi hai jisnay pury mashray ko apni lapeet main le rakha hai. Madi iqdaar ki yalghaar nay humaray mashray main humdardi, jazba-e-eisaar, akhoowat, rehm dili aur insaaf jasy riwaeeti jazbaat-o-ahsasaat ko kamzoor ker dala hai. Humari muqadas majlisi aur tehzeebi riwayaat barah-e-raast in buraiyoon se mutasir hochuki hain. Har meedan aur har shoba-e-karobaar main khud gharzi aur zati munafqat parasti nay usool parasti aur qaumi mufaad ki jagha leli hai. Itehaad aur itefaaq k bajae tafreeq-o-munafqaat faroogh parahi hai. Ilaqae aur lisani taasub nay humari mili wehdaat ko khatam ker dala hai.har shakhs pareeshan aur muztarib nazar ata hai.
Is hum geer kharabi ki asal wajha yeh hai k humnay apnu rasool Hazrat Muhmmad Mustafa (P.B.U.H) k farmaan ko bhula ker shetaniyaat ko apna liya hai. Jab humary dil main yeh tasaver hi baqi nahn raha k humnay ek din khuda k samny peesh hoker jawab deh hona hai tou khoof kis cheez ka hai. Bas humary mad-e-nazar tou duniya ki shaan-o-shoukat aur aeesh-o-araam hai. Mashrati taqazoon ka shaur hum main raha hi nahn, ye qaoom ki sabse bari badkismati hai k awaam ki aksaaryat mashrati masaeel k hal k liye na kabhi sochti hai aur na qar-e-khair main hisa leenay k liye kisi ki hosala afzaee kerti hai. Yoon lagta hai k unhein apni hi khud gharziyaan se hi fursaat nahin. Wo qoumi aur mili masaeel k liye kyon demagh kharab karein. Wo tou sirf yeh janty hain k humnay apna falan kaam kistarha nikalna hai. Chahe yeh masla rishwat se hal hota ho ya kisi ka haq marnay se inka matlab nikalta ho agar kisi ko qatal kerny se inhen faeeda pohanchta hai tou wo isey bhi dereegh nahin kerty. Jab is qadar behisi aur lataluqi paida hojae tou ijtemae mufadaat ki kaun pasbani kerta hai? Ijtemae mufadaat k liye baaz auqaat zati mufadaat ko bhi qurbaan kerna perta hai magar jazba-e-esaar o qurbaani aur humdardi hi mafqood hojae tou kya hosaqta hai aur sari qaoom apni buraiyoon se nalaaan bhi hai aur phir in per amaal pera bhi hai. Inhein pata bhi hai k yeh buraee hai magar burae se bach ker bhi nahn chalty.  
Ahsas-e-zemedaari jo har ghalat se ghalat insaan ko bhi durust rah per leata hai. Lekin yahan tou ulta hi mamla hai humaray ander ahsas-e-zimedari bilkul nahn raha. Jab humein ahsaas hi nahn k hum per kya faraeez aeed hotay hain aur humein kistarha insey ahda bara hona hai tou asay main islah ka tasavur bemaeenay hoker reh jata hai .

Humari qumi zindagi ka ek bara almiyaan ye bhi hai k hum munafqat se kaam lety hain. Humary qool-o-fail main tazaad hai. Humaray dil main kuch hota hai aur zuban per kuch aur. Is tarha qumi masaeel haal nahn hua kerty balky ulajh ker reh jatay hain jis k nateejay main humein faeeday k bajae nuksaan hota hai. Hum main yeh nuks bhi hai k hum batein tou bht kerty hain magar amli taur per bikul sifaar hotay hain. Huma dusroon ko tou nasehateein kerty hain magar kabhi apna ahtesaab nahn kerty. Agar har fard apni apni jagha per durust sochy aur durust kaam kary tou isey sari qaum theek hojati hai kyo k afraad k majmooe hi se qaumeen banti hain. 

AQSA IQBAL 

Thursday, 12 November 2015

AHATASAB SAB KA HONA CHAHEYA......

Hoqmran-e-ala or Ala Hakmeyat sirf Allah ka pass hy or Allah na jab is dunya main insan ko payda keya to is he insan ko apna Khalefa or naeeb bana ka bheja taka wo zameen main fasad karnay walo ki islah kartay rahin or logo ko fasad sa bachatay rahin magar jab insan na is dunya main ankh kholi to wo sab kuch bhol choka tha or apnay maksad-e- hayat ko bhol betha tha magar phir b insano main kuch insan asa guzra hain ka wo is dunya main b apnay Rab ko razi karna main laga rhaty tha.Magar ajj hum apnay insan honay ka maksad bhola bhetay hain.insaneyat nam ki chez hum main sa khatam ho choki hy.
Ab agar bat karin is molq Pakistan ki to ya molq hamara leya Khuda ki taraf sa nemat hy magar aj hum nay is ka kya hashar keya hy?....Is molq ko kharb karnay wala hum hain...(nafrat hoti hy in logo sa jo pakistani honay ka bawajod apna molq ko bora bhala khatay hain).Apna molq ko kharab karnay walay yaha ka hoqmran or hum awam hain jo apna Ahatasab karna nahi jantay.bas kesi mhafil main beth kar apna molq or yaha ka system ko bora bhala khana jantay hn.
Amal sa zindagi banti hy jannat b jahnum b.....hamara masla ya ha ka ham amal to kartay hn lakn bagar socha shamgha ka ya amal hamain jannat ki taraf la jai ga ya jahnum ki taraf.......ka kaheya ab silsila ahtasab ka shoro hoa hy lakn sawal to ya hy ka khud ahatasabi ka silsila kab shoro ho ga?....lakn kya kegeya zindagi itni masrof hy ka aina ka samnay khara hona ka moka hi nahi milta lakn ha os molq main sab ko hath saf karna ka moka zaror mil jata hy.hoqmrano sa lakar ak thela wala tak apna hath saf kar leta hy....bat haq ki chal nekli hy to....ajj b hamara mashra main shari apna bunyadi haqoq sa mharom hain.roti,kapra,or makan ka leya log aj b taras rahin hain.in sab ka wada intakhab ka waqt keya jata hn.kesi nay kya khob kaha hy.....(wo wada hi kya jo wafa ho jai).ab to asa waqt a gaya hy ka intakhab nahi karna parta kon bora or kon acha hy balka ya dekhna parta hy kon kam bora or kon zeada bora hy .log girget ki tarha rang badalta hain.....In sab bato par zara sochain or gor karin ka is sab main kosorwar kon hy.To is list main hamara nam kahi nahi hoga q k hum san ki zindagi ka osoul ya ha ka ham apna ap ko be-kosor or mazlom samagh ta hn.hamin dosro ka daman par barik sa cheta b nazar a jata hy magar apnay daman ka bara sa bara daag nazar nahi ata.apna kirdar ka kuch pata nahi magar dosro ka kirdar pa ungli othana apna farz samagh ta hn...Ab b hamin apni ankha khol lani chaheya.Khuda os waqt tak kesi kom ki halat nahi badal ta jab tak wo khud apni halat na badla......Hamin apna dil bara karna ki zarorat hy or asa kam karn ka dosro ka leya mesal ban jai or logo ka dilo main nafrat ka bajai apna ghar kar lain taka is dunya sa jana ka bad log acha alfazo sa yaad karain.

Tuesday, 10 November 2015

DENGUE FEVER

Dengi ak machar ka kaat lay na sa lahaq hota hy.Dengi chooht ki bemari nahi hy yani kesi mutasira shaks say ya kesi seehatmand shaks ko nahi hota.dengi bokhar nay ajj kal phir awam ko apni lapeth main lay rakha hy ya insani zindagiyon kay leya ak bar phir masla ban gaya hy.Is nay pora moulq ko apni lapeth main la leya hy.Har saal kai hazar sa zaid afrat is bokhar ki waja sa apni jan sa hath dhoo bethay hain. Is machar ki ak khas phechan hay is ka jisam par seeya safed neshan hota hn.Ya machar zeada tar gharo main pai jaty hn.6 sa 7 din ka ander is bokhar ki alamat zahir ho jati hy.104 bokhar ,johro main dard,saar main dard,jisam par soork dhabbay dengi bokhar ki alamat hy.Is bokhar ki alamat zahir hota hi khoon main white sells banna khatam ho jaty hain.Agar is ka elag par tawaja na de jai to ya jan lewa marz ban jata hy.


 Is marrz sa bachnay ka wahid hal ehatiyat hay.Insan khod machro ka kaat nay sa bachai or is sa bachnay ka leya tamam ehatiyati tadaber apnai jai....phalay to kesi b jaga par pani khara na hona dain agar pani jama karna ho to is ko lazmi tao par dhanp kar rakain.kora karkat jama na ho na dain.apni hefazat ka leya machar maar isprey istemal karin. Dengi ka elag ager bar waqt na keya jai to ya boht khaternak ban sakta hy or agar bar waqt elag shoro kar deya jai to marez jald sehatyab ho jata hy.Asa marez ko zeada sa zeada jiuce,panni or doodh wagara deya jata hy.Hoqomat ko chaheya ka dengi sa bachao ka leya awam main dengi sa bachao ka leya agahi phelain,hospital main dengi sa motalik malomati counter kaim keya jain or khas tor par ispery karna lazmi hy or boht zarori hy.

post by +UMEMA JAWED 

Thursday, 5 November 2015

Modern Green Beauty

 MODERN GREEN BEAUTY

Har shakas ki khuahish hoti hy k badalty hoa halat or badalty hoa mossam k sat sat charay ki khubsorti bar karar rahy .jo ap ki shaksiyat ko obharti hy.charay ki jeeld boht nazoq hoti hy agar os par Daag par jai to moshkil sa jaty hn.Mosam_e- gharma ki garmi,dhop ki tapish,khoshki or dhool chary ko badnoma or skin ko behad noksan phochati hn.skin kharab ho jati hy,colour seeyah ho jata hy.......

Aksar khawaten asi b hoti hn jo apna kapro or jooto par tawaja dati hn magr apni skin ki hefazat karna bhol jati hn....asi khawaten ko chaheya ka wo apny degar kamo ki tarhan apni skin ki b hefazat karn .or is ka leya bas thori si tawaja lazmi hoti hy........choti choti baton par amal karny sa apni skin ki hefazat ke ja sakti hy.skin to Dhoop sa bachain,skin ko saaf rakin,taza khoraq ,fruits,vegetable or pani ka zeada istamal skin ko taroo...taza rakhta hy.......

Aj kay taraki yafta science dor main asi asi products a gai hn asa asa facial keya jaty hn jo apki skin ho boht noksan pochaty hn.skin ki hefazt in creams or ya facial nahi kar sakty q k in main boht sa chemical shamil hoty hn jo skin ko bhot kharab kar daty hn or jaldi jaldi facial karwana to bilkul b sahi nahi hota is ka baraks gharaylo totko sa skin ko noksan nahi hota.....Doctors or skin specialist ka b yahi khana hy ka creams or facial wagara sa skin ki hefazat nahi ki ja sakti jab tak ap ki dite achi na ho.....healthy dite hi sara maslo ka hal hy jo apki sehat sa la kar apki skin ko pur khasish banati hy... baloo ko lamba or ghana karti hy....or apko ak healthy life dati hy or ap ki Modern Green Beauty ....Ever Green Beauty ban jati hy.

post by @umema jawed

Wednesday, 14 October 2015

                                 JINNAH UNIVERSITY FOR WOMAN ....NEW YORK


Kaha jata hy ka mahool or jaga ka kesi b cheez ki taraqi main ahem kirdar hota hy or agar bat ho hamari university ki or tasawor keya jai is bat ka kay ...JINNAH UNIVERSITY FOR WOMAN new york main hoti to kasi hoti(To phir ham sab khatay TABDELI A NAHI RAI TABDELI A GAI HY....)Sab say phaly toya university NEW YORK main phali or wahed university for woman hoti.....
sab say phaly apna dil ki bharass nekalin to university main uniform nahi hota.Tamam student university mainasa enter hoti jasa AYAN ALI court main pashee ka doran jati thi....Khola Bal,jeans.T-shirt ,Dhoop say bachnay ka leya cap wagara ka istamal karti(yani tamam student apnay app main KATRINA KAIF baan kar ati) or agar bat ke jai kesi event ki ya mela ki to is main tamam student jeans,T-shirt or tarhan tarhn ka lebas pehan kar ati.Pori university ko khubsoorti say sajaya jata .Pori university main safai par tawaja di jati har taraf tasverain or nakshoo say arasta krya jata.....Is ka bat bat kain agar language ki to university main english or urdu ka moqabla nahi hota .Har koi angrazi bolnay main mahir hota.Teacher or student main koi nomaya faq nahi hota.New york ki university ka tamam talbat apnay teacher ko unkay sir name say bolaty...department of mass communication ka student apnay teacher ka sat dostana mahool main rhaty.Hir cheez practical sekhai jati is ka bad ak class film,music,or singing  ki b hoa karti .university main larkeyo ka raaj hota or han yahn par cigrait nooshi aam hoti university main parties chalti...tafri ka waqt tafri or parhai ka waqt parhai hoti. Or sab say bar kar student ka anay jany par koi pabandi nahi hoti(yani jin ko jo karna hota hy wo pabandeyo main b kar guzarty hain)...
Education level boht acha hota or ya bat nahi kahi jati ka....DEGREE TO DEGREE HOTI HYASLI HO YA JALIII.........
(Elim wo nahi jo apnay shekha hy....Elim to wo hy jo ap kay kirdar say zahir hota hy 

Posted by +UMEMA JAWED

Tuesday, 13 October 2015

JINNAH HOME FOR BEAUTIFUL LADIES IN NEW YORK..!!

  All you beautiful ladies Count with me 10,9,8,7,6,5,4,3,2,1......HAPPY NEW YEAR....!!
And now a special announcement for all of you..So hold your heart and breath.Today you beauties of Jinnah Home are going to gather for New Year Party..and the special thing that is going to happen this year tonight is that some Handsome Guys will be here to meet you..but they would me wearing  Waiters Uniform for serving you all.So all you beautiful ladies You have the right to live your life to the fullest. Bring your friends,Loved Ones and chase your dreams ,follow your heart and full fill your desires. But the desires should be in limits please.. :-) This Jinnah Home has completed its 10 years in New York,America.I hope you enjoyed your own rules of this place,the best rule is Teachers singing competition before entering the classroom ,1 hour class time and after that break of 2 hours only, I am sure you enjoy your attendance procedure..Your favorite self images that becomes your profile picture on FACEBOOK ,Oh poor girls you get so tired ,1 hour SPA Salon for you to get fresh all day,And taking a nap after that is fab, ;-) 
       
Oh Your best rule  I forgot..?? Yes...An Open Book Exams on your own separate I Pad's  and marking of exams is just so easy give your own Wished GPS.The Lunch Is a Munch I tell you Daily A Five Star Hotels buffet system...MmMmM Yummy..I know girls going back home is not good but going In a Brand new Mercedes Benz Makes The Day. This is one of the most Amazing  And darling HOME as an institution for ladies, its kind of a Fairy Tale...Jinnah Home is open for you ladies so if want to be a part of it... THEN... CLOSE YOUR EYES...THINK OF THESE AMAZING SITUATIONS AND JUST DREAM IT...ONLY THIS IS THE WAY TO BE A PART OF THIS JINNAH HOME FOR BEAUTIFUL LADIES....Don't forget you are still a part of JINNAH UNIVERSITY FOR WOMEN, KARACHI, PAKISTAN.   
Written by: Ayesha Anwer

Monday, 12 October 2015

"AGAR JINNAH UNIVERSITY NEWYORK MAI HOTI" .....!!!

       


                                   Jinnah University jo kai khawaten ki wahid university hai.jahan waaldain apne bachon ko bhej kar be fikar hojate hain q kai aj kl ird gird k mahol ko daikhte hue hr waldain ki khuwaish yahi hai k unki betiyan mehfooz rahain r aise mahol m taleem hasil krain jahan unki janain or izatain mehfoos rahain ...khair ye to hogae Jinnah University ki baat .agar hum tasawur krain kai jinnah university newyork mai hoti tu ye sirf khawaten ki university nae hoti balkai taalba r talib-e-ilm dono sath university m parhte.university m anay r jane ka koi quaid-e-kawaneen nae hota or markazi darwaze par wehshatnaak guards tainaat nae hote jo kha jane wali nazron se daikhte jinko daikh kar bache khof zada hojate.apne har shauq ko pora krne ki ijazat hoti students class m jane k bajaye canteen m waqt guzara krte r khob shugal bazi ka mahool
hota.hr student taza hawa m sans laine ka aadi hota .students jo sawal pochna chahte apne teachers se poch sakte .teachers ko students par tashadud krne par jail ki hawa khani parhti ;-) .university me school kai bachon ki tarhan uniform pehanna na parhta larkiyan mini skirt r pent shirt pehna karti.larky r larkiyan bari khush islobi se "Valentine Day"manaya krtay r ye
jashan raat gaye tak chalta ;-).imtehano kay hone par koi student zehni dabao ka shikar na hota.kam haazri par imtehan m bethne ki ijazat hoti.students ko apni marzi k jawab likhne ki ijazat hoti r jawabaat ki lambaii r choraaii ko mad-e- nazar rakhte huwe numbers nae diye jate  .teachers ko jo students pasand hote sirf unki taraf daari nae krte balkai hr student k sath yaksaan suluk kia jata,students ko kitabi taleem daine k sath sath amli kaam bhi karwaya jata
takay students ki hichkichahat khatam ho sakay .students ko itna qabil bnaya jata k khud bari bari companies inse khud rabta krten r jinnah university dunya ki number 1university k naam
se jani jati... :-)

SHEEZA PARVAIZ